Aaj Ashq Mere Naat Sunain Shafiq Ahmed Naat Sharif MP3 Download. Download naat audios,naat mp3,naat video, bayan audio,bayan video,bayan mp3,tilawat mp3,tilawat audio. Explore and download a variety of Islamic MP3s.
Aaj ashk mere naat sunain to ajab kya
Sun ker woh mujhe pas bulaein to ajab kya
Un per to ghunahagar ka sab hal khula hai
Iss par bhi who daman mein chupaein to ajab kiya
Muhn dhanp kay rakna ke ghunahagaar bohot hoon
Mayat ko meri dekhnay ayein to ajab kya
Na zaad e safar hai na koi kaam bhalay hain
Phir bhi hamain sarkaar bulain to ajab kya
Deedar key qabil to nahin chashm e tamana
Lekin Woh kabhi khwaab main aaein to ajab kya
Deedar ke qabil to kahan meri nazar hai
Lakin woh kabhi khawab mein aayein to ajab kiya
Yeh nisbat e shah e madni aur yeh aansoo
Mehshar mein aik gham say shuraein to ajab kiya
Main aisa khatawar hoon kuch had bhi nahin jis ki
Phir bhi meray aeboon ko chupaein to ajab kiya
Paband nawa to nahin faryad ki rasmein
Yeh ishq mera haal sunayein to ajab kiya
Paband nawa to nahin faryad ki rasmein
Aansoo hi mera hal sunaein to ajab kiya
Haasil jinhein aqaa ki ghulami ka sharaf hai
Thokar say woh murdoon ko jalaaein to ajab kiya
Woh husn e do aalam hain adeeb unkay kadam say
Sehra main agar phool khilayein to ajab kiya..