Main to Khud Unke Dar ka Gada Hoon Naat MP3 Download By Owais Raza Qadri. Main to Khud Unke Dar ka Gada Hoon Beautiful Naat MP3 Download By Owais Raza Qadri in best audio quality. Explore and download a variety of Islamic MP3s.
Me to khud Unke dar ka gada hoon,
Apne AaQA ko main nazr kya doon
Ab to aankhon me bhi kuchh nahin hai
Varna qadmon me aankhein bichha doon
Aane waali hai unki sawari
Phool naaton ke ghar ghar saja doon
Mere ghar me andhera bohot hai
Apni palkon pe shamme jala doon
Rauza-e-paak pesh-e-nazar hai
Saamne mere AQA ka dar hai
Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai
Tumko lafzon me kaise bata doon
Mere aansu bahut kheemti hain
Inse waabasta hai unki yaadein
Inki manzil hai khak-e-madeena
Ye gohar yun hi kaise luta doon
Me faqat Aap ko jaanta hoon
Aur usi dar ko pehchanta hoon
Is andhere me kisko pukaroon
Aap farma’aein kisko sada doon