islamicdb

Allah Karam Allah Karam Syed Khalid Hussain Naat Sharif MP3 Download

Allah Karam Allah Karam Syed Khalid Hussain Naat MP3 Download. Download naat audios,naat mp3,naat video, bayan audio,bayan video,bayan mp3,tilawat mp3,tilawat audio.

Page Views: 1.3 K

Allah Karam Allah Karam Syed Khalid Hussain Naat Lyrics

Haazir hain tere darbaar me hum,
Allah karam, Allah karam
Deti hai sadaa ye chashm e nam,
Allah karam, Allah karam.
 
Hai patse har ek gardan kham hai,
Har aankh nadaamat se nam hai,
Har chehre pe hai ashqon se ratam,
Allah karam, Allah karam
 
Haazir hain tere darbaar me hum,
Allah karam, Allah karam
 
Jin logon pe hai in’aam tera,
Un logon me likh de naam mera
Mehshar me mera rehjaaye bharam,
Allah karam, Allah karam.
 
Har saal talab karna mujhko,
Har saal ye sheher dikhana mujhko
Har saal karun mai taufe haram,
Allah karam, Allah karam
 
Meri aane waali sab naslein,
Tere ghar aaye, tera dar dekhe
Asbaab ho unko aese baham,
Allah karam, Allah karam
 
Iss wird me umr kate saari,
Hothon pe sabeeh rahe jaari
Allah karam, Allah karam,

Allah karam, Allah karam