Chalo Dayare Nabi Ki Janib naat mp3

Kaleem Sarwar - Chalo Dayare Nabi Ki Janib mp3 play online & download. Large collection of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds, bayan,lyrics & quran audios.


Audio:Chalo Dayare Nabi Ki Janib naat mp3

Artist: Kaleem Sarwar
Page views 16

Lyrics

 • Chalo diyaar-e-nabi ki jaanib durood lab par saja saja kar
 • Bahaar luuttain ge ham karam ki dilon ko daman bana bana kar
 •  
 • Na un ke jesa sakhi hei koii na un ke jesa ghani hei koii
 • Wo be-nawa-o ka har jaga se nawaazte hein bula bula kar
 •  
 • Mein wo nikamma hun jisski jholi main koii husn-e-amal nahiin hei
 • Magar wo ihsaan kar rahe hein khata-ain meri chhupa chhupa kar
 •  
 • Hei unki ummat se pyaar kitna karam hei rahmat sha’aar kitna
 • Hamaare jurmon ko dho rahe hein wo apne aansu baha baha kar
 •  
 • Yahi asaas-e-amal hei meri issi se bigrri bani hei meri
 • Samett-ta hun karam khuda ka nabi ki naatain suna suna kar
 •  
 • Wo raahain ab tak saji huii hein dilon ka kaaba bani huii hein
 • Jahaan jahaan se huzur guzre hein naqsh apna jama jama kar
 •  
 • Agar muqaddar ne yaawri ki agar madine gya mein Khaalid
 • Qadam qadam khaak uss gali ki mein chuum lun ga uttha uttha kar