islamicdb

Listen and download your favorite islamic MP3, videos & blogs.

Hum Madinay Se Allah Kyun A Gaye Naat MP3 Download By Hafiz Abubakar

Download MP3 (160)

Hum Madinay Se Allah Kyun A Gaye Naat MP3 Download By Hafiz Abubakar. Hum Madinay Se Allah Kyun A Gaye Heart Touching Naat MP3 Download By Hafiz Abubakar in best audio quality.

Description

Hum madinay se Allah Hafiz ABUBAKAR naat mp3 play online & download. Large collection of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds bayan & quran audios.

Lyrics

Ham madine se Allah kyun aa gaye
Qalb hairan ki taskin wahin rah gayin

Dil wahin rah gaya jaan wahin rah gayi
Kham usi dar pe apni jabeen rah gayin

Yaad ate hain hamko wo sham-o-sahar
Wo sukoon-e-dil-o-jaan wo rooh-o-nazar

Ye unhin ka karam hai unhin ki ‘ata
Ek kaifiyat-e-dil nasheen rah gayin

Dil wahin rah gaya jaan wahin rah gayi
Kham usi dar pe apni jabeen rah gayin

Allah Allah wahan ka darood-o-salam
Allah Allah wahan ka sujood-o-qayan

Allah Allah wahan ka wo kaif-e-dawam
Wo salat-e-sukoon afrin rah gayin

Dil wahin rah gaya jaan wahin rah gayi
Kham usi dar pe apni jabeen rah gayin

Jis jagah sajda rezi ki lazzat mili
Jis jagah har qadam unki rahmat mili

Jis jagah noor rahta sham-o-sahar
Wo falak rah gaya wo zameen rah gayin

Dil wahin rah gaya jaan wahin rah gayi
Kham usi dar pe apni jabeen rah gayin

Padh ke nasrun minal lahi wa fathun qareeb
Jab huye ham rawan suye kuye habib

Barkaten rahmaten sath chalne lagin
Bebasi zindagi ki yahin rah gayin

Dil wahin rah gaya jaan wahin rah gayi
Kham usi dar pe apni jabeen rah gayin

Zindgani wahin kaash hoti basar
Kash bhahzad aate na ham laut kar

Aur poori hui har tamanna magar
Ye tamanna-e-qalb-e-hazeen rah gayin

Ham madine se Allah kyun aa gaye
Qalb hairan ki taskin wahin rah gayin

Dil wahin rah gaya jaan wahin rah gayin
Kham usi dar pe apni jabeen rah gayin..