Kya Khabar Kya Saza Mujhko Milti naat mp3

Kya Khabar Kya Saza mp3 play online & download. Large collection of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds, bayan,lyrics & quran audios.


Audio:Kya Khabar Kya Saza Mujhko Milti naat mp3

Artist: Various Artist
Page views 66

Lyrics

 • Kya khabar kiya saza mujh ko milti
 • Meray Aqa(S.A.W) nay izzat bachali.
 • Farde isiyan meri mujh se lay kar
 • Kali Kamli mein Apni(S.A.W) chupali.
 • Woh (S.A.W) aata par ata karne wale
 • Aur hum bhi nahin talne wale.
 • Jaisi deodi hai waise bhikari
 • Jaisa Data hain waisay sawali.
 • Kya Khaber kya saza mujhko milti
 • Mere Aqa (S.A.W) ne Izzat bachali.
 • Mein ghada hoon magar kis kay dar ka
 • Woh jo Sultan-e-Kono Makan (S.A.W) Hain.
 • Kya Khaber kya saza mujhko milti
 • Mere Aqa (S.A.W) ne Izzat bachali.
 • Yeh Ghulami badi mustanad hai
 • Mere sar par hai taj-e-Bilali.
 • Mein Madinay say kya agaya hun
 • Zindagi jaise bujh si gai hai.
 • Ghar ke andar faza soni soni
 • Ghar key baher sama khali khali.
 • Meri Umr-e-Rawan bus thehar jaa
 • Ab safar ki zuroorat nahin hai.
 • Unke (S.A.W) qadmoun mein meri jabeen hai
 • Aur hathoun mein Rozay ki Jali.
 • Mein faqat naam lewa houn Unka (S.A.W)
 • Unki(S.A.W) tauseef mein kya karoonga
 • Mein na Iqbal (Allama Sir Muhammad Iqbal), Qusro (Amir
 • Khusro) na Saadi
 • Mein na Qudsi na Jami na Hali.
 • Kya Khaber kya saza mujhko milti
 • Mere Aqa (S.A.W) ne Izzat bachali.