islamicdb

Listen and download your favorite islamic MP3, videos & blogs.

Kya Khabar Kya Saza Mujhko Milti Naat MP3 Download

Download MP3 (86)

Kya Khabar Kya Saza Mujhko Milti Naat MP3 Download. Kya Khabar Kya Saza Mujhko Milti Naat MP3 Download in best audio quality. Large collection of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds, bayan,lyrics & quran audios.

Description

Kya Khabar Kya Saza naat mp3 play online & download. Large collection of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds, bayan,lyrics & quran audios.

Lyrics

Kya khabar kya saza mujh ko milti, Mere Aqa ne izzat bachali

Farde isiyan meri mujh se le kar, Kali Kamli mein Apni chupali

Woh aata par ata karne wale, Aur ham bhi nahin talne wale

Jaisi deodi he waise bhikari, Jaisa Data hein waise sawali

Kya khabar kya saza mujh ko milti, Mere Aqa ne izzat bachali

Mein ghada hoon magar kis ke dar ka, Woh jo Sultan-e-Kono Makan hein

Yeh Ghulami bari mustanad he, Mere sar par he taj-e-Bilali

Kya khabar kya saza mujh ko milti, Mere Aqa ne izzat bachali

Mein Madine se kya agaya hun, Zindagi jaise bujh si gayi hai

Ghar ke andar faza soni soni, Ghar key bahar sama khali khali

Meri Umr-e-Rawan bas thehar jaa, Ab safar ki zuroorat nahin hai

Unke qadmon mein meri jabeen hai, Aur haathon mein Roze ki Jali

Kya khabar kya saza mujh ko milti, Mere Aqa ne izzat bachali

Mein faqat naam lewa hun Unka, Unki tawseef mein kya karoonga

Mein na Iqbal, Khusro na Saadi, Mein na Qudsi na Jami na Hali

Kya khabar kya saza mujh ko milti, Mere Aqa ne izzat bachali...