islamicdb

Main to Khud Unke Dar ka Gada Hoon Naat MP3 Download By Owais Raza Qadri

Main to Khud Unke Dar ka Gada Hoon Naat MP3 Download By Owais Raza Qadri. Main to Khud Unke Dar ka Gada Hoon Beautiful Naat MP3 Download By Owais Raza Qadri in best audio quality.

Page Views: 92.9 K

Description

Main to Khud Unke Dar ka Gada hoon Owais Raza Qadri naat mp3 play online & download. All kind of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds lectures & quran audios.

Main to Khud Unke Dar ka Gada Hoon Naat Lyrics

Me to khud Unke dar ka gada hoon,

Apne AaQA ko main nazr kya doon

Ab to aankhon me bhi kuchh nahin hai

Varna qadmon me aankhein bichha doon

 

Aane waali hai unki sawari

Phool naaton ke ghar ghar saja doon

Mere ghar me andhera bohot hai

Apni palkon pe shamme jala doon

 

Rauza-e-paak pesh-e-nazar hai

Saamne mere AQA ka dar hai

Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai

Tumko lafzon me kaise bata doon

 

Mere aansu bahut kheemti hain

Inse waabasta hai unki yaadein

Inki manzil hai khak-e-madeena

Ye gohar yun hi kaise luta doon

 

Me faqat Aap ko jaanta hoon

Aur usi dar ko pehchanta hoon

Is andhere me kisko pukaroon

Aap farma’aein kisko sada doon