islamicdb

Listen and download your favorite islamic MP3, videos & blogs.

Mera Payamber Azeem Tar Hai Syed Zabeeb Masood Shah Naat Sharif MP3 Download

Download MP3 (66)

Mera Payamber Azeem Tar Hai Naat by Syed Zabeeb Masood Shah naat mp3 play online & download. Large collection of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds bayan & quran audios.

Description

Mera Payamber Azeem Tar Hai Naat by Syed Zabeeb Masood Shah naat mp3 play online & download. Large collection of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds bayan & quran audios.

Lyrics

  • MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI
  • kamaal-e-khallaq zaat Uski
  • jamaal-e-hasti hayaat Uski
  • bashar nahi azmat-e-bashar hai
  • MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI
  •  
  • Woh sharah-e-ehkaam-e- Haq Ta'ala
  • Woh khud he Qanoon... Khud hawala
  • Woh khud he Qur'an... khud he Qari
  • Woh aap mehtaab aap Haala
  • Woh aqs bhi.. aur aaina bhi
  • Woh nukta bhi ...khat bhi ...da'ira bhi
  • Woh khud nazaara hai.. khud nazar hai
  • MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI
  •  
  • sha'oor laaya Kitab laaya
  • Woh hashr tak ka nisaab laya
  • diya bhi kaamil nizaam Us ne
  • aur Aap he inqualaab laya
  • Woh ilm ki aur amal ki had bhi
  • azal bhi Uska hai aur abad bhi
  • Woh har zamane ka Raahbar hai
  • MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI
  •  
  • bas aik mashkeeza ik chatai
  • zara se jau aik char paayi
  • badan pe kapde bhi vaajibi se
  • na khush libasi na khush qaba'i
  • yehi hai kul kainaat Jiski
  • gini na jaye sifaat Jiski
  • wohi to Sultaan-e-bahr-o-bar hai
  • MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI
  •  
  • Jo Apna daaman lahoo se bhar le
  • museebatein Apni Jaan par le
  • Jo tegh zan se lade Nihatta
  • Jo ghaalib aakar bhi sulha kar le
  • Aseer dushman ki chaah mein bhi
  • mukhalifon ki nigaah mein bhi
  • Ameen hai Sadiq hai Motabar hai
  • MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI
  •  
  • Jiss'e shah-e-shash jehat dekhun
  • Usay ghareebon ke saath dekhun
  • Inan-e-kaun-o-makan Jo thaamey
  • kudal par bhi Woh haath dekhun
  • lage jo mazdoor Shah aisa
  • na zar na dhan Sarbarah aisa
  • falak nasheen ka zameen pe ghar hai
  • MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI