 
    Siddique Ismail Qurban Mein Unki Bakhsish Ke naat mp3 play online & download. Download and Listen to Qurban Mein Unki Bakhsish Ke Naat in a Heart-Touching Voice, Along with the Lyrics. Also Available Qurban Mein Unki Bakhsish Ke Naat WhatsApp Status and Ringtone Download.
Page Views: 40.5 K
Siddique Ismail Qurban Mein Unki Bakhsish Ke naat mp3 play online & download. Large collection of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds bayan & quran audios.
	Qurban main unki bakhshish ke
	maksad bhi zuban par aaya nahi
	bin mange diya aur itna diya
	daaman mein hamaare samaaya nahi
	
	be bandagi ko ooch kiya banda kar diya
	taara mere naseeb ka tabinda kar diya
	itni badi huzoor ki banda nawaaziyan
	mujhko mere sawaal ne sharminda kar diya
	
	unki jab shaan e kareemi pe nazar jaati hai
	zindagi kitna marahal se guzar jaati hai
	betalab mujhko diye jaata hai dene wala
	haath uthte nahi neeyat meri bhar jaati hai
	
	kisi ko kabhi dar se khali na taala
	tawakko se badh kar ata karne wala
	bhikhari anokhe hain daata niraala
	
	kaun hai jo bipta ko taale unse mangein mangne waale
	saare jag mein goonj rahi hai unki jai jaikaar
	
	unka ka to shairaaz kareemi hai
	maail wo karam hi rehte hain
	jab yaad kiya aye salle allah
	wo aa hi gaye tadpaaya nahi
	
	wo rehmat kaisi rehmat hai
	mafhoom samjh lo rehmat ka
	usko bhi gale se lagaaya hai
	jise apna kisi ne banaya nahi
	
	imaan mila unke sadke
	quran mila unke sadke
	rehmaan mila unke sadke
	woh kya hai jo hamne paaya nahi
	
	main aap kahun rakh lije bharam
	lillah karam lillah karam
	taawan e amal mein neki ka
	sarkar koi sarmaaya nahi
	
	us mohsin e azam ke yun toh
	khalid pe hazaron ehsaan hain
	qurban main aise ehsaan ke
	ehsaan kiya toh jataaya nahi..
By: Momina Mustehsan 3.5 M views
By: Syed Fasihuddin Soharwardi 3.3 M views
By: Hafiz Abubakar 3.1 M views
By: Muhammad Owais Raza Qadri Attari 3.1 M views
By: Sami Yusuf 2.8 M views
By: Sami Yusuf 2.8 M views