islamicdb

Tamanna Muddaton Se Hai Jamaal e Mustafa Dekhoon Naat MP3 Download

Tamanna Muddaton Se Hai Jamaal-e-Mustafa Dekhoon Naat MP3 Download. Tamanna Muddaton Se Hai Jamaal-e-Mustafa Dekhoon Naat MP3 Download in best audio qualiy.

Page Views: 2.9 K

Tamanna Muddaton Se Hai Jamaal e Mustafa Dekhoon Naat Lyrics

Tamanna muddaton se hai jamaal-e-Mustafa dekhoo

Imam-ul-Ambiya dekhoo, Habeeb-e-Kibriya dekhoo

Woh jinke dam qadam se subah ne bhi raushni payee

Munawar kar diya jisne faza woh rahnuma dekhoo

Woh jinki barkato abr-o-bala baste aalam mein

Tamanna qalb-e-muztar ki woh dur-e-bebaha dekhoo

Qadam bahir Madine se tasawwur mein Madina hai

Ilahi, ya Ilahi azmaton ki intiha dekhoo

Ye duniya besubaat-o-bewafa-o-gham ka gehwara

Ye hai matloob dar-e-be-wafayee in me wafa dekhoo
Ye hai matloob dar-e-be-wafayee in me wafa dekhoo

Tamanna muddaton se hai jamaal-e-Mustafa dekhoo

Woh mabda khalq-e-alam ka darood unpar salaam unpar

Mere maula ye mauqa de ke khatm-ul-Anbiya dekhoo

Kabhi ho husn ke mehfil kabhi ho shauq ka manzar

Kabhi aansoo ki zanjeeron mein aashiq ki sada dekhoo

Rasoolun Qasimul khairaati fid dunya wa fil uqaba

Shafi'a qaz nafs-e-ma dar ma Nabi-e-Mujtaba dekhoo

Dar-e-jannat pe haazir hoon Rasool-e-Pak ke hamrah

Shafa'at ka ye manzar ya khudaya mein Raza dekhoo
Shafa'at ka ye manzar ya khudaya mein Raza dekhoo

Tamanna muddaton se hai jamaal-e-Mustafa dekhoo
Imam-ul-Ambiya dekhoo, Habeeb-e-Kibriya dekhoo..